Broken Heart

Broken Heart

Saturday, May 14, 2011

GARV...

Tanha hu tanha rehne de
Is kadar phir mujhe pyaar na kar

In Zakhmo ko hara rehne de
marham laga ke inhe barbaad na kar

Teri Aankho ke zantar mantar se bahar nikalna hai mujhe
Yu nazare mila ke mujhe gumraah na kar

Teri meri yaado ka gulistaa ab murjha gaya hai
mujhe hichkiya dila ke ise gulzaar na kar

Barbaad hua hai mere dil ka shehar teri hi chahat me
Yu muskura ke isse aabaad na kar

Akela hi kata tha meri zindagi ka safar
Mere saath reh ke meri aadat kharaab na kar

Uske darbaar me haq ka sabko mila hai
Usse koi aisi waisi fariyaad na kar......

"SINGH"...............

No comments: